Sare Jahan Se Acha Lyrics in Hindi and English. सारे जहाँ से अच्छा, “Sare Jahan Se Acha” is a patriotic song in Urdu language, written by Indian poet Muhammad Iqbal in praise of Hindustan (India)

Sare Jahan Se Acha Lyrics in English

Sare jahan se acha
Hindustan hamara,

Ham bulbule hain iski
Ye gulsita hamara, hamara…

Gurbat mein ho agar ham,
Rahta hai dil vatan mein,
Samajho vahi hame bhee
Dil hai jahan hamara, hamara…

Parabat vo sabse uncha,
Hamsaya aasamaa ka,
Vo santari hamara,
Vah paasabaan hamara, hamara…

Godee mein khelti hain
Jiski hazaaron nadiyaan,
Gulshan hai jinke dam se
Rashk-e-janaan hamara, hamara…

Aye aab-e-rood-e-ganga,
Vo din hain yaad tujhako,
Utra tere kinaare
Jab karvan hamara, hamara…

Majahab nahi sikhata
Aapas mein bair rakhana,
Hindi hain ham,
Vatan hai hindustan hamara, hamara….

Yunaan-o-misr-o-rooma
Sab mit gaye jahan se,
Ab tak magar hai baaki
Naam-o-nishaan hamara, hamara…

Kuchh baat hai ki hastee
Mitati nahi hamari,
Sadiyo raha hai dushman
Daur-e-zamaan hamara, hamara…

Iqbaal koi marhum
Apana nahin jahan mein,
Maalum kya kisi ko
Dard-e-nihaan hamara, hamara…

Sare jahan se acha
Hindusta hamara,
Ham bulbule hain iski
Ye gulsita hamara.

video

https://youtu.be/wRhrpGYV4kM
Follow me on Blogarama

By Admin