Main Pal Do Pal Ka Shayar Hoon LyricsMain Pal Do Pal Ka Shayar Hoon Lyrics

Main Pal Do Pal Ka Shayar Hoon Lyrics By Mukesh. Main song words are Main pal do pal ka shayar hoon pal do pal meri kahani hai pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai.

Main Pal Do Pal Ka Shayar Hoon Song Lyrics

Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Main pal do pal ka shayar hoon

Mujhse pehle kitne shayar
Aaye aur aakar chale gaye
Kuchh aahein bharkar laut gaye
Kuchh nagme gaakar chale gaye
Woh bhi ek pal ka kissa the
Main bhi ek pal kissa hoon
Kal tumse juda ho jaaunga
Woh aaj tumhara hissa hoon

Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Main pal do pal ka shayar hoon

Kal aur aayenge nagmon ki
Khilti kaliyan chun-ne wale
Mujhse behtar kehne wale
Tumse behtar sun-ne wale
Kal koi mujhko yaad kare
Kyun koi mujhko yaad kare
Masroof zamana mere liye
Kyun waqt apna barbad kare

Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Main pal do pal ka shayar hoon

Dil Ko Maine Di Kasam Na Dhadke Tere Bina Lyrics

Follow me on Blogarama

By Admin