Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki Lyrics

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki Lyrics By Ravindra Jain Ramanand Sagar. Main Song Words Are Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki.

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki Song Lyrics

Om Shree Mahaa Ganaadhi Pathye Namah
Om Shree Umamaheshawaraabhyam Namah

Vaalmiki Gurudev Ke Padh Pankaj Sir Naaya
Sumire Maath Saraswati Hum Par Ho-Ua khud Sahaay
Maath Pithaa Ki Vandhana Karthe Baarambaar
Gurujan Raaja Prajajan Naman Karo Sweekaar

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki

Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki

Jambu Dweepe Bharat khande Aaryavarthe Bhaarat Varshe
Ek Nagari Hai Vikyath Ayodhya Naam Ki
Yahi Janma Bhoomi Hai Param Poojya Shree Ram Ki

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki

Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki

Raghukul Ke Raja Dharmaathma Chakravarti Dhashrath Punyathma
Santhathi Hethu Yagya Karvaaya
Dharm Yagya Ka Shubh Phal Paya

Nrup Ghar Janme Chaar Kumaraa Raghukul Deep Jagat Adhaara
Charon Bhratonke Shubh Naama
Bharat, Shatrughna, Lakshman, Rama

Guru Vashishtha Ke Gurukul Jaake Alpa Kaal Vidya Sab Paake
Pooran Huyi Shikshaa Raghuvar Pooran Kaam Ki

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki

Mruduswar Komal Bhaavana Rochak Prasthuthi Dhang
Ek Ek Kar Varnan Kare Luv Kush Ram Prasang
Vishwamithr Mahaa Muni Raayi Thinke Sang Chale Do Bhai
Kaise Ram Thadka Maari Kaise Naath Ahilya Thaari

Munivar Vishwa Mitra Thab Sang Le Lakshman Ram
Siya Swayamvar Dekhne Pahunche Mithila Dham

Janakpur Utsav Hai Bhaari Janakpur Utsav Hai Bhaari
Apne Var Ka Chayan Karegi Sita Sukumari
Janakpur Utsav Hai Bhaari

Janak Raj Ka Kathin Pran Suno Suno Sab Koyi
Jo Thode Shiv Dhanush Ko So Sita Pati Hoyi

Ko Thori Shiv Dhanush Kathor Sab Ki Drishti Ram Ki Oar
Ram Vinay Gun Ke Avtaar Guruvar Ki Aagna Sirdaar
Sahaj Bhaav Se Shiv Dhanu Thoda
Janak Suta Sang Naatha Joda

Raghuvar Jaisa Aur Na Koyi Sita Ki Samata Nahin Hoyi
Dhou Kare Paraajith Kaanthi Koti Rati Kaam Ki

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Ye Ramayan Hai Punya Katha Shri Ram Ki

Sab Par Shabd Mohini Daari
Mantramugdha Bhaaye Sab Nar Naari
Yu Dhin Rain Jaathi Hai Bheethe
Luv Kush Ne Sab Ke Mann Jeete

Van Gaman, Sita Haran, Hanumat Milan,
Lanka Dhahan, Ravan Maran,
Ayodhya Punaraagaman

Savisthaar Katha Sunaayi Raja Ram Bhaye Raghuraai
Ram Raj Aayo Sukh Dhaayi
Sukh Samriddhi Shree Ghar Ghar Aayi

Kaal Chakra Ne Ghatna Kram Mein Aisa Chakra Chalaya
Ram Siya Ke Jeevan Mein Phir Ghor Andhera Chaaya

Avadh Mein Aisa, Aisa Ek Din Aaya Nishkalank Sita Pe Praja Ne
Mithyaa Dosh Lagaaya
Avadh Mein Aisa, Aisa Ek Din Aaya

Chadi Siya Jab Thod Kar Sab Neh Naathe Moh Ke
Paashaan Hridayon Mein Na Angaare Jage Vidhroh Ke

Mamthamayi Maaon Ke Aanchal Bhi
Simat Kar Raha Gaye
Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Rah Gaya

Na Raghukul Na RaghukulNayak Koyi Na Siya Ka Hua Sahaayak
Maanvatha Ko Kho Baite Jab
Sabhya Nagar Ke Vaasi Thab Sita Ko Hua Sahaayak
Van Ka Ek Sanyaasi

Un Rishi Param Udaar Ka Valmiki Shubh Naam
Sita Ko Aashray Diya Le Aaye Nij Dhaam

Raghukul Mein Kuldeep Jalaaye
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye..

(Shrotagan..! Jo Ek Raja Ki Putri Hai,
Ek Raja Ki Putrvadhu Hai,
Aur Ek Chakravati Raja Ki Patni Hai,
Vahi Maharaani Sita Vanvaas Ke Dukho Mein,
Apne Din Kaise Kaat Thi Hai,
Apne Kul Ke Gaurav Aur Swabhimaan Ki Raksha Karte Huye,
Kisi Se Sahayatha Maange Bina,
Kaise Apna Kaam Wo Swayam Karti Hain,
Swayam Van Se Lakdi Kaant Thi Hai,
Swayam Apna Dhaan Koot Thi Hai,
Swayam Apni Chakki Peesti Hai,
Aur Apni Santhaan Ko Swavalambi Banane Ki Shiksha
Kaise Deti Hai, Ab Uski Ek Karun JhaanKi Dekhiye)

Janak Dulari Kulavadhu Dasharath Ji Ki
Raj Rani Ho Ke Din Van Mein Bhithati Hai,
Rehte The Gheri Jise Das Daasi Aatho Yam
Daasi Bani Apni Udaasi Ko Chupati Hai
Dharam Praveena Sati Param Kulina
Sab Vidhi Dosh Heena Jeena Dukh Mein Sikhati Hai

Jagmata Hari Priya Lakshmi Swarupa Siya,
Koot Thi Hai Dhaan Bhoj Swayam Banati Hai
Kathin Kulhadi Leke Lakdiya Kaant Thi Hai
Karam Likhe Ko Par Kaant Nahi Paathi Hai

Phool Bhi Utaana Bhaari Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhare Jeevan Ka Bhoj Woh Utaathi Hai
Ardhangini Raghuveer Ki Woh Dhar Dheer
Bharti Hai Neer Neer Nain Mein Na Laathi Hai

Jiski Praja Ke Apvaadon Ke Kuchakra Mein
Peesti Hai Chaaki Swabhiman Kho Bachaathi Hai
Paalti Hai Bachhon Ko Woh Karma Yogini Ke Bhaati

Swaabimaani, Swaavalambi, Salab Banaathi Hai
Aisi Sita Maatha Ki Pareeksha Lethe Dukh Dethe
Nitur Niyathi Ko Dhaya Bhi Nahi Aathi Hai

Oo Oo Us Dukhiya Ke Raj Dulaare
Hum Hi Suth Shri Ram Tihaare

Oo Oo Sita Maa Ki Aankh Ki Thaare Ye Ye
Luv Kush Hai Pithu Naam Hamaare
Hey Pitu Bhagya Hamaare Jaage
Ram Katha Kahi Ram Ke Aage

https://www.youtube.com/watch?v=DbfNR-V71L8
https://www.youtube.com/watch?v=LQ_90jYheOU

Banayenge Mandir Song Lyrics

Har Ghar Me Ab Ek He Naam Ek He Naara Gunjega Lyrics

Follow me on Blogarama

By Admin