Wo Sarware Kishware Risalat lyrics is an Islamic Naat Lyrics. This is based on Qaseeda e Mearaj/Mehraaj Lyrics. Wo Sarware Kishware Risalat Song Lyrics.
Wo Sarware Kishware Risalat lyrics
Woh Sarwar E Kisarwar E Risalat Jo Arsh Per Jalwah Gar Huye The
Naye Nirale Tarab Kay Saaman Arab Ke Mehman Kay Liye The.
Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak,
Malak Falak Apni Apni Lay Main Yeh Ghur Ana Dil Ka Boltay The.
Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Say Anwar Hastay Aatay Idhar Say Naf-Haat Ooth Rahay They.
Yeh Chhut Padti Thi Unkay Rukh Ki Kay Arsh Tak Chandni Thi Chhatki,
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aainay They
Nayi Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Kay Sanwara Sanwar Kay Nikhra
Hajar Key Sadqay Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They.
Nazar Main Dulha Key Pyaray Jalway Haya Say Mehrab Sir Jhukaye
Siyah Parday Kay Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Say The.
Khushi Kay Badal Umand Kay Aaye Diloon Kay Taoos Rang Laye
Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Kay Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker
Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bharay They.
Dulhan Ki Khushboo Say Mast Kapray Nasim E Gustakh Aanchloon Say
Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahay The.
Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen
Saba Say Sabzah Main Lehrein Aateen Dupattay Dhani Chunay Huye The.
Naha Kay Nehroon Nay Woh Chamakta Libas Aabay Rawan Ka Pehna
Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Kay Thal Takay The.
Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hajoom E Tare Nigah Say Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley The.
Ghubar Ban Ker Nisaar Jayein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Payein
Hamaray Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Kay Per Jahan Biche The.
Khuda Hee Day Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhay Woh A’alam
Jab Unko Jhurmat Main Lakay Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahay The.
Utar Ker Unkay Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada
Kay Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangtay The.
Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahanay May Jo Gira Tha Pani Katoray Taroon Nay Bhar Liye The.
Bacha Jo Talwoon Ka Unkay Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan
Jinhoon Nay Dulha Ki Payi Utran Woh Phool Gulzar E Noor Kay The.
Khabar Yeh Tehweelay Maher Ki Thi Kay Rut Sunhani Ghadi Phiray Gee
Wahan Ki Poshak Zay-Bay Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chukay The.
Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Paray Jama Kar Kharhay Salami Kay Waastay The.
Jo Hum Bhi Waan Hotay Khaq E Gulshan Lipat Kay Qadmoon Say Ley Tay Utran
Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Kay Din Likhay The.
Abhi Na Aaye The Pusht E Zeen Tak Kay Sir Hui Maghfirat Ki Shallak
Sada Shafa’at Nay Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomtay The.
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna
Shuaein Bukkay Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pay Saieqay The.
Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein Day Kar Inhein Hatao
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika May Yeh Ghal Ghale The.
Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Kay Raaste Bhar
Ghiray The Badal Bharay The Jal Thal Umand Kay Jangle Ubal Rahay The.
Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unkay Rah Guzar Ki
Utha Na Laya Kay Miltay Miltay Ye Daagh Sab Dekhte Mite They
Burraq Kay Naqshe Sum Kay Sadqe Woh Gul Khilaye Kay Saray Rastey
Mehaktay Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The.
Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ayan Houn Ma’ani E Awwal Akhir
Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aagay Kar Gaye The.
Wo Sarware Kishware Risalat lyrics
Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflak Jam O Mina Ujaltay The Khangaltey They.
Naqab Ultay Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per
Falak Ko Hebat Say Tap Charhi Thi Tapaktay Anjum Kay Aablay Tha
Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabay Gohar Qamar Qamar Tha
Safaey Rah Say Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pay Laut’tay The.
Badha Ye Lehra Kay Behr O Wahdat Key Dhul Gaya Naam E Raige Kasrat
Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule The.
Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate
Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The.
Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Say Damaan
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Kay Sab Aeno Aan Say Guzar Chuke The.
Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aayi Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Payi
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gaye The.
Thakay The Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley The.
Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Say Eik Bhabuka Phoota
Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The.
Jiloo Main Jo Murgay A’qal Uray The Ajab Booray Haloon Girtay Partay
Woh Sidrah Hee Per’rahay The Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gaye The.
Qavi They Nurgan E Waham Kay Per Uray To Urdnay Ko Aur Dam Bhar
Utha’ee Seenay Ki Aisi Thokar Kay Khoonay Andesha Th’oo’ktay The.
Suna Yeh Itnay Mein Arsh E Haq Nay Kay Lay Mubarak Ho Taaj Waley
Wohi Qadam Khair Say Phir Aaye Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere The.
Yeh Sunkay Bay Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa
Phir Unkay Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Kay Din Phire The.
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde May Bazme Bala
Yeh Aankhein Qadmoon Say Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahay The
Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Kay Sari Qindileen Jhilmilayeen
Huzoor E Khurshid Kya Chamaktay Chairagh Moun Apna Dekh Tay The.
Yehi Sam’an Tha Kay Paikay Rehmat Khabar Yeh Laya Kay Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastaay The.
Badh Ay Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad
Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Mazay The.
Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Bay Niyazi
Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takazay Visal Kay The.
Khirad Say Keh Do Kay Sir Jhuka Le Gumaan Say Guzray Guzarnay Walay
Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laalay Kisay Bataye Kidhar Gaye The.
Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha.
Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhalay The.
Udar Say Payham Taqazay Aana Idhar Say Mushkil Qadam Barhana
Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubhartay The.
Barhay To Lekin Jhee-Jhaktay Dartay Haya Say Jhuktay Adab Say Ruktay
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pay Rakhtay To Lakhoon Manzil Kay Fasilay The
Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka
Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsilay The.
Hua Yeh Aakhir Kay Aik Bajra Tamojay Bahrey Hoo Mein Ubhra
Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Kay Langar Utha Diye The.
Kisay Milay Ghat Ka Kinara Kither Say Guzra Kahan Utra
Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Say Khud Chupay The.
UThe Jo Qasray Dana Kay Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar Day
Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Kay Woh Bhi Na The Aray The.
Woh Baag Kuch Aisa Rang Laya Kay Guncha O Gul Ka Faraq UThea
Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoolay Guloon Kay Takmay Lagay Huay The
Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil
Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukaye Ajeeb Chakar Mein Da’eray The.
Hijab Uhnay Mein Lakhoon Parde Har Aik Parday Main Lakhon Jalway
Ajab Ghari Thi Kay Waslo Furqat Janam Kay Bichray Galay Milay The.
Zabanein Sukhi Dikha Kay Mojein Tarap Rahi Thien Kay Pani Paein
Bhanwar Ko Yeh Zofay Tashnagi That Kay Halqay Aankhoon Mein Par Gaye The.
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir
Usi Kay Jalway Usi Say Milnay Usi Say Uski Taraf Gaye The.
Kaman E Imakan Kay Jhutay Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho
Muhit Ki Chal Say To Pucho Kidhar Say Aaye Kidhar Gaye The.
Udhar Say Theen Nazray Shah Namaz’ain Idhar Say Inaam E Khusravi Mein
Salam O Rehmat Kay Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Paray The.
Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chukay The.
Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pay Tha Khuld Ka Sitara Kay Iss Qamar Kay Qadam Gaye The.
Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Kay Tabishoon Say Mah E Arab Ki
Jina Kay Gulshan The Jhaar Farshi Jo Phool The Sab Kanwal Banay The.
Tarab Ki Nazish Kay Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Kay Hill Na Sakiye
Yeh Josh E Ziden Tha Keh Poday Kasha Kish E Arah Kay Talay The.
Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Kay Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Kay
Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Kay Tarkay Aa Liye The.
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat RAZA Pay Lillah Ho Inayat
Isay Bhi Unn Khal’atoon Say Hisa Jo Khas Rehmat Kay Waan Bate The
Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na
Na Shayari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaisay Kafiye The.
Maa Pahadan Waliye Lyrics – Hansraj Raghuwanshi