Jab Rida Sar Se Chini Lyrics by Syed Naqi Abbas.Haye mere Abbas x4,Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2.
Jab Rida Sar Se Chini Lyrics
Haye mere Abbas x4
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Aal-e-Imran kahan, aur zindaan kahan Ye behen qaid hui, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Hum ko paani na miley, teri khusbhoo to rahey Terey baazu na katain, chahey mashkiza chidey Ye magar ho na saka, terey baazu huey juda Mujh pe hai tishna labi, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Dhoop mein tu tha shajar, tujh se abad tha ghar Hai barehna mera sar, kya nahin tujh ko khabar aye alamdar-e-wafa, iss behen ko ba khuda
tujh se dharas thi bari, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Aa gayi sham-e-alam, lut gayey ahl-e-haram rait par jalti hui, ho gaya thanda alam
pursa dainey ke liyey, mujh se milney ke liyey aa gayey baba Ali, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Kya kahoon sher merey, bey-rida hum ko liyey yeh musalmaa(n) saarey, shehr dar shehr gayey khilqat-e-Kufa kabhi, Khilqat-e-Shaam kabhi barha hum pey hansi, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Kitni beybas thi behan, aye shehanshah-e-wafa naam ley ley kai mera, jab yeh zaalim ne kaha naaz tha jis pey tujhey, ab bulaao na ussay
aur mein roti rahi, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Qaid khanay mein qaza, jab Sakina ko mili Le kai kurtay ka kafan, bachi dafnai gayi uss ghari naam tera, surat-e-naad-e-Ali bas mein duhrati rahi, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
RoyaRehanqalam,karkaiyehbaatraqam Khoon mein doob gaya, meray Ghaazi ka alam zakhmi Zainab ka jigar, khoon fisha(n) shah ka sar Aaye khaimon mein shaqi, tu na aaye Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x2
Aal-e-Imran kahan, aur zindaan kahan Ye behen qaid hui, tu na aaya Ghaazi
Jab rida sar se chini, mein sada deti rahi, tu na aaya Ghaazi x