Chand Muharram Ka Nazar Aa Gaya Lyrics By Ali Shanawar. Chand Moharram Ka Nazar Aagaya Chha Gaie Gham Ki Faza’a. Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e- Aza’a Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e- Aza’a Arsh Say Aa’nsoo Bahanay.
Chand Muharram Ka Nazar Aa Gaya Lyrics
Chand Moharram Ka Nazar Aagaya-
Chha Gaie Gham Ki Faza’a-
Hussain (as) Ya Hussain (as) Hussain (as) Ya Hussain (as) 4
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e- Aza’a

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay-
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Zaib-e-tan Aihl-e-aza’a Nay Kar Liyay Kaalay Libas-
Haath Hain Seeno’n Pe, Aa’soo Aankh Mein, Chehray Udaas-
Hai Juloos-e-gham Kahi’n Par
Hai Juloos-e-gham Kahi’n Par
Aur Kahi’n Majlis Bapa-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Nasb Karti Hain Azakhanay Kaneezaan-e-batool (sa)-
Hath Mein Patka Alam Ka, Lab Pe Noha, Dil Malool-
Alqamah Aa’nkho’n Say Jaari
Alqamah Aa’nkho’n Say Jaari
Lab Pe Haaey Karbala-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Daikh Kar Maah-e-aza’a Ko, Maa’n Nay Bachcho’n Say Kaha-
Aao Main Tum Ko Sikhaao’n Kia Hai Tehzeeb-e-aza’a-
Ba Wuzoo Hokar Hi Parhna
Ba Wuzoo Hokar Hi Parhna
Soz, Noha, Marsiyah-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Yeh Azadari Chali Hai Syed-e-sajjad (as) Say-
Zakiri Ki Ibtida Hai Zainab-e-naashaad Say-
Perawi Sajjad (as) Ki Hai
Perawi Sajjad (as) Ki Hai
Bediyan’n, Shaal-e-aza’a-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Ban Kay Saqqa-e-sakina (sa),tifl Aur Peer-o-jawaa’n-
Syedo’n Kay Ghar Pe Jaakay Pursa Daitay Hain Wahaa’n-
Yeh Wohi Din Hain Ke Jis Mein
Yeh Wohi Din Hain Ke Jis Mein
Aap Ka Ghar Lut Gaya-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a,
Ta’aziyay, Jhoolay, Sabilai’n Nisbat-e-shabbir (as) Hai-
Yaad Mein Eik Bay Watan Kay Harqa-e-zanjeer Hai-
Apnay Hi Khoo’n Rneiri Nahaa Kay
Apnay Hi Khoo’n Rneiri Nahaa Kay
Kehtay Hain Khooni Qaba-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Aaj Har Dil Mein Basa Hai Tera Hi Gham Ya Hussain (as)-
Ghair Muslim Bhi Manatay Hain Moharram Ya Hussain (as)-
Eik Teray Gham Nay Hi Mola
Eik Teray Gham Nay Hi Mola
Sab Ko Yak Jaa Kardiya-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Chaar Soo “farhan”-o-“mazhar”, Momino’n Ka Qatl-e- Aam-
Aik Pal Ko Rok Paaya Kiya Moharram Ka Nizaam-
Bhooi Jaatay Hain Yeh Keh Kar
Bhooi Jaatay Hain Yeh Keh Kar
Apnay Gham Aihl-e-aza’a-
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (sa)
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a
Hussain (as) Ya Hussain (as) Hussain (as) Ya Hussain (as) 4
Ali Ke Sath Hai Zehra Ki Shadi Lyrics