Vardaan Lyrics by CarryMinati is brand new Hindi song with music given by Wily Frenzy. Pakdo mera hath kudo tum unchai se Jayenge neeche nahi aur bhi unchai pe Jahan pe jeet ki pukar bhi sunai de.
Vardaan Lyrics – CarryMinati
Sashakt bakse mein band
Pade pade laga uss pe jang aur gand
Kabhi kabhi karta hai mann
Kar loon usi bakse mein khud ko band
Ghisat ghisat ke lad
Jaise tu koyi tooti patang
Seh le tu dard
Kyon ki kabhi na hogi khatam ye jung
Ghar waalon se aati sharam kehne mein
Jo mujhe hai banna
Jab tak deta na saboot to kaise bolun
Haan yehi tha shuru se mujhe karna
Raaste jo paas the kab ayenge samne
Jitna pichha karoge utne badhenge fasle
Sapno ke liye saans le
Sapno ke liye jaan de
Kaise hai karna bas yehi na jaante
Pakdo mera hath kudo tum unchai se
Jayenge neeche nahi aur bhi unchai pe
Jahan pe jeet ki pukar bhi sunai de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de
Pakdo mera hath kudo tum unchai se
Jayenge neeche nahi aur bhi unchai pe
Jahan pe jeet ki pukar bhi sunai de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de
Neeche mat dekhna pichhe mat mudna
Chillate log zinda ya murda
Zara soch kabhi tu bhi wohi tha
Par tujhme thi veerta
Haan tu hi sahi tha
Sab mein jalti hai aag
Jise aksar bujhne dete hain hum
Ant mein bachti hai rakh
Jo karti himmat aur bhi kam
Karni hai poori apni khuraak
Lagega sirf ek hi janam
Lapte uthengi rakh se
Bas rakhna hai aage kadam
Padenge pichhe log aur maarenge taane
Unki mat sunn ye bookhe bechare
Jaane anjane ye bas khaate hain daane
Ye log khud ko na pehchane
To socho kaise ayenge humein bachane
Nakamyabi ka jab badhta hai andhera
Nahi samjhte sab aur lagta hai akela
Tab bhoolo na kya kya tumne jhela
Kyun ki aata hai andhera
Taaki aa sake savera
Pakdo mera hath kudo tum unchai se
Jayenge neeche nahi aur bhi unchai pe
Jahan pe jeet ki pukar bhi sunai de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de
Pakdo mera hath kudo tum unchai se
Jayenge neeche nahi aur bhi unchai pe
Jahan pe jeet ki pukar bhi sunai de
Is baat ki meri poori zindagi gawahi de
Banna nahi legend banani bas apni jagah
Dena nahi 100 percent, 200 tu power laga
Kismat ko bhool, bhool mat apni wajah
Lagi hai chot vardaan hai na koyi saja